Ek maut un-kahi.

Ek maut….. Un-kahi si

Mujhe istemal kar ke mere apne kehtey hai,
Sirf Tumhare sath he hum khush rehtey hai.

Piyar toh mujh se bahut hai unko….
Fir bhi naye rishton ki chahat rakhtey hai.

Dil-e-nadan ki baton ke bahar aa kar deikhein to…
Hum apni marzi se kuch nahi kar saktey hai.

Kaise samjhau unhe apni majboori ka sabab,
Meri lakh chahaton ki bavjoot eh-kismat…
Abb to mere laffz bhi un tak nahi pahuchtey hai.

Dil mein paddi apni mohobatt ki laash ko,
Hum chah kar bhi zinda nahi kar saktey hai.

Aaj har jasbaat mar chuke hai jab dil mein mere,
Wapas aa jao tum…. Jane kiyu mujhe kehtey hai.

…. …. ….

Wrote it on 19th Nov2011, and I'm not sure why I decided to share it today.

Comments

Popular posts from this blog

Rutba - Satinder Sartaaj (Hindi Translation)

Baby Falak, a cursed angel

Guru Nanak Dev